Ye Kahan Aa Gaye Hum Lyrics - Silsila | Amitabh Bachchan, Lata Mangeshkar

Yeh Kahan Aa Gaye Hum Lyrics - Silsila

Ye Kahan Aa Gaye Hum Lyrics is the most remarkable song from Silsila bollywood movie starring Amitabh Bachchan, Rekha, Jaya Bhaduri and others. This song is sung by Lata Mangeshkar and Amitabh Bachchan with the music composition of Shiv-Hari and lyrics by Javed Akhtar. Video song features Amitabh Bachchan and Rekha and the poem "Main Aur Meri Tanhaayi" by Dr. Harivansh Rai Bachchan is like a cherry on the cake.

Singers: Amitabh Bachchan, Lata Mangeshkar
Music Composer: Shiv-Hari
Lyricist: Javed Akhtar
Poem by: Dr. Harivansh Rai Bachchan
Music on: YRF Songs
Video Features: Amitabh Bachchan, Rekha

Yeh Kahan Aa Gaye Hum Lyrics

Main aur meri tanhayi, aksar ye baatein karte hai
Tum hoti to kaisa hota, tum yeh kehti tum woh kehti
Tum iss baat pe hairaan hoti, tum uss baat pe kitni hasti
Tum hoti to aisa hota, tum hoti to waisa hota

Ruu ru ru ruuuuruuuuu
Ruu ru ru ruuuuruuuuu

Ye kahan aa gaye hum
Yunhi saath saath chalte
Teri baaho mein hain janam
Mere jismo jaan pighalte
Teri baaho mein hain janam
Mere jismo jaan pighalte
Ye kahan aa gaye hum
Yunhi saath saath chalte

Ye raat hai
Ya tumhaari zulfein khuli hui hai
Hai chandni
Ya tumhaari nazron se meri raate dhuli hui hai
Ye chand hai
Ya tumhaara kangan
Sitaare hai ya tumhara anchal
Hawa ka jhonka hai
Ya tumhare badan ki khushboo
Ye patiyon ki hai sarsarahat
Ke tumne chupke se kuch kaha hai
Ye sochta hu mein kabse gumsum
Ke jabki mujhe bhi khabar hai
Ki tum nahi ho kahin nahi ho
Magar ye dil hai ki keh raha hai
Ki tum yahi ho yahin kahin ho

Ho tu badan hai mein hu chaya
Tu na ho to mein kahan hu
Mujhe pyar karne wale
Tu jahan hai mein wahan hu
Hume milna hi tha humdum
Kisi raah bhi nikalte
Hume milna hi tha humdum
Kisi raah bhi nikalte
Ye kahan aa gaye hum
Yunhi saath saath chalte

Hmmm meri saans saans mehke
Koi bhi na bhi na chandan
Tera pyaar chaandni hai
Mera dil hai jaise aangaan
Hui aur bhi mulayam
Ho hui aur bhi mulayam
Meri shaam dhalte dhalte
Ye kahan aa gaye hum
Yunhi saath saath chalte

Majboor ye halat idhar bhi hai udhar bhi
Tanhayi ki ek raat idhar bhi hai udhar bhi
Kehne ko bahot kuch hai magar kisse kahe hum
Kab tak yunhi khamosh rahe aur sahe hum
Dil kehta hai duniya ki har ek rasam uthaade
Deewar jo hum dono mein hai aaj gira de
Kyun dil mein sulagte rahe logo ko bata de
Haan humko Mohabbat Hai..Mohabbat Hai..Mohabbat
Ab dil mein yahi baat idhar bhi hai udhar bhi

Yeh kahan aa gaye hum
Yunhi saath saath chalte
Yeh kahan aa gaye hum
Yeh kahan aa gaye hum

Ruu ru ru ruuuuruuuuu
Ruu ru ru ruuuuruuuuu

 More Songs from "SILSILA"

01. Dekha Ek Khwab: Lata Mangeshkar, Kishore Kumar
02. Rang Barse Bheege Chunarwali: Amitabh Bachchan
03. Neela Aasman So Gaya: Amitabh Bachchan, Lata Mangeshkar
04: Sar Se Sarke Chunariya: Lata Mangeshkar, Kishore Kumar
05: Khud Se Jo Wada Kiya Tha: Pamela Chopra
06: Jo Tum Todo Piya: Lata Mangeshkar
07. Ladki Hai Ya Shola: Lata Mangeshkar, Kishore Kumar